sab khethe thay
kay mujh mein woh baath nahi
dunya say dur ho kay
apnay mein jeenay lage
akele pan mein wishwas kiya
na kohi apna dunya mein rakha
na kohi apna apno mein raha
phir ek shaksh
aandharon say nikala
darti khamooshi ko phir say awaaz diya
purana kal bhula kar
anay wala kal ko dhum diya
itna pyar paya
kay yakeen hee nahi ho sakha
dunya hee say woh aya
aur meray andharay ko rung diya
salon sal us key angrahi mein nachti rahi mein
chor diya apney ap ko uski sansoos key liyeh
pal mein jo pyar diya
jo izzat di
jo takat di
ek hee japat mein badal diya
na raha woh pyar
na rahi woh izat
jis takat say mei ney zindagi bani
usi takat ko usne barbat kar diya
chor diya usney mujhey
dunya hee key liye
aur aaj woh chilata hai
kay muj mein woh baath hi nahi
kay mein uss key khabal hee nahi!
No comments:
Post a Comment